Kya Hai Naya gold Exchange?
Gold Exchange ek aisa naya proposal hai jo India ke Gold trading ke overall scenario ko badal sakta hai.
Kya hai ye Gold Exchange?
Kab Se aayega Gold Exchange?
Kya badlega isse?
Angel shoutout
Agar aap chahte hain desh ke number 1 Full Service Broker ke saath aapka Demat account open karein, aur best facilities jaise
1. One year Free AMC
2. Smallcase
3. SmartAPI
4. Flat 20Rs brokerage
5. Personalized advisory
In sab ka fayda le sake, to fir description me diye gaye link ko click kijiye aur apna free demat account aaj hi open kijiye
Kya Hai Gold Exchange ?
Gold Exchange SEBI ka ek naya proposal hai jisme desh me hone wale Gold Transactions ko ek exchange ke under laaya jayega. Ye SEBI ka ek proposal paper hai.
Is proposal ke hisab se desh me hone wale Gold transactions ke liye Electronic Gold Receits create ki jayengi. Inko EGR kaha jayega. EGR alag alag Gold amounts ke liye create ki jayegi. Matlab 5gm, 10 Gm aur is tareeke ke small demoninations ke liye bhi.
EGR ke Zariye Trading kaise hogi?
Poora process5 steps me complete kiya jyega
Step 1: Physical Gold to be converted to EGR - Electronic Gold Receipts
Step 2: Depositories will inform exchange about EGRs
Step 3: Clearing corporations will settle the trades
Step 4: EGR will be converted to physical Gold
Step 5: buyers will get it by tendering EGR
Kya Gold Commodity Trading Band ho jayegi?
Gold Commodity trading band nahi hogi, lekin uske jagah pe dheere dheere Gold Exchange ko laya jayega, trades ko execute kiya jayega Gold Exchange me. Ye dheere dheere implement kiya jayega, sab transitions well planned honge.
Kyun Laya Jaa raha hai Gold Exchange?
India har saal lagbhag 900 Tonne ka Gold import karta hai. Fir bhi Global Gold rate fix karne me India ka contribution bahut hi kam hai. Isi ko change karne ke liye hi Gold Exchange ka plan kiya jaa raha hai. Existing exchange me EGR me trade shuru ho sakta hai immediately. Lekin naye exchange banane ke liye investment zaroori hai.
Iske alava, Desh me hone wale Gold ke exchange ko regulate karne me bhi ye exchange help karega.
Vault Managers
Physical Gold ko EGR ke against disburse karne ke liye Vault Managers ko bhi zaroorat padegi. Inke specific criteria honge jo SEBI decide karegi. Security deposit bhi dena padega, aur ye Vault Manager ka post SEBI ka intermediary hoga. Kaunse bade business houses is vault Manager units ke liye apply karega ye bhi dekhne wali baat hogi.
Agar sarkar ke wade ke mutabik, ye Gold Exchange create kiya gaya, aur ye Duniya me Gold prices ke control me ek bada factor saabit hoti hai, to ye ek accha step kaha jayega, lekin agar ye commodity traders ke zindagi me aur zyada complications laata hai, ya fir tax burden increase karta hai, fir traders khush nahi honge.