Kalyan jewellers IPO | Subscribe or not? | kalyan jewellers ipo price

 

Kalyan jewellers IPO | Subscribe or not?

15th March ko MTAR tech IPO ka listing hua jisme 82% listing gain dekha gaya. 16th march ko kalyan jewellers ka IPO launch hone waala hai. Isko leke logo ke man me bahut excitement hai, lekin bahut sare sawaal bhi hain. Pehle to Precious metals sector me bahut saare players hai jo ek doosre ke saath compete kar rahe hain. In me se sabse bada hai Titan. To pehla sawaal ye hain ki kya Kalyan Jewellers, inke saath apna performance match kara payega? Kya bahut zyada competitive market me ladai karne se, iske shares ke listing gain ya long term prospects kharab ho sakte hain? Kalyan Jewellers ke strong points kya kya hai jisse wo competitors ke muqable me long term accha performance de sakta hain? Ye saare sawaalon ka jawab main aapko dunga aaj ke is video me. Lekin uske liye, video ko end tak dekhiye aur channelko subscribe kijiye. 


Angel Broking Shoutout

Agar aap ko ghar baithe paisa kamana hai aur Share Market me trading karna hai to aapke liye best option hai Angel Broking ka demat account. Yahan aapko pehla saal account maintenance charges free milega, minimum broking charges of flat 20 INR/ Deal, aur uske saath aapko milega specialzed Robo Order ki facility, jiske zariye aap Angel broking ka special Articificial Intelligence Driven predictive analytics system ka faida le sakte hain. ye aapke age, salary, aapka preferences ke hisaab se aapko bata dega ki kaunse stocks ya investment plan aapke liye bilkul sahi hoga. Iske alava, Angel Broking India ka no 1 full service broker hai, jiska matlab ye hai ki aap ko special advisories and portfolio managers jaise alag alag advantages milenge. To der na karie aur description me diye gaye link par click karke aaj hi Angel Broking me apna free demat  account kholiye.


Kalyan Jewellers Background

Mujhe yaad hai, 2019 ke start me do famous movie stars ne do alag alag jewellers ke liye advertisement kiya tha. Ek the Hrithik Roshan, Joyalukkas ke liye, doosre the Amitabh Bachhan ki puri family, jinhone Kalyan Jewellers ko endorse kiya tha. Us time se hi kalyan jewellers ka naam thoda thoda popularity paa raha tha. Uske baad se hi Kalyan jewellers ke promo and unke bade bade banners, Western India and southern India ke bade bade metros me dikhne lage the. 


1993 me kalyan jewellers ka formation hua tha, kerala me. Pure desh me kalyan jewellers ke, 107 showrooms hain, 21 states aur Union territories milakar. Desh ke bahar Middle east me, inke 30 showrooms hai jo company khud hi operate karti hain. Company ke revenue ka 78.19% hissa aaaya hai indian business se, FY2020 me. Candere.com bolke inka ek online portal bhi hain jaha se digital distribution hota hai. 

Company Financials

Kalyan Jewellers reported a profit of Rs 142.27 crore for the year ended March 2020 against a loss of Rs 4.86 crore in the previous financial year; and a profit of Rs 141 crore in FY18.

Revenue in FY20 grew by 3.4 percent (year-on-year) to Rs 10,100.9 crore. In FY19, the revenue fell by 7.4 percent (year-on-year) to Rs 9,770.76 crore. In the nine months period ended December 2020, the company posted a loss of Rs 79.95 crore against profit of Rs 94.3 crore in the corresponding period. In the same period, revenue declined sharply by 30.7 percent to Rs 5,516.70 crore due to the COVID-19 impact. As of December 2020, 72 out of its total 137 showrooms were located outside of South India.


Company strengths

Kalyan Jewellers ka sabse bada strength hai unka local business model. Inka ek unique “my Kalyan” naam ka distribution and consumer feedback program hai jo inko kaafi popular banata hai. My kalyan ke zariye ye, logo tak pahuch ke , unke desired jewellery profiles kya hai, kya naya product launch kiya jaa sakta hai, kaise unke company ko aur robust distribution network ke andar laya jaaye, ye saare topics pe focus karte hain. Ye customer outreach program hi kalyan jewellers ka sabse bada strength hai aisa kaha jaa raha hai. 


Market Peers


Company Name Last Price % Chg 52 wk

High 52 wk

Low Market Cap

(Rs. cr)

Titan Company

1,490.40 0.53 1,620.95 720.00 132,315.65

Rajesh Exports

519.20 -0.50 720.00 440.80 15,329.90

Vaibhav Global

4,345.30 4.45 4,345.30 490.00 14,138.80

PC Jeweller

31.25 0.00 32.75 7.80 1,454.39

Thangamayil

610.15 -1.20 675.20 216.90 837.10

Goldiam Inter

344.90 2.19 384.00 73.15 764.81

Renaissance

315.00 3.26 345.00 188.10 594.70

Tribhovandas

76.35 -0.72 96.40 16.50 509.49

Atlas Jewellery

30.30 -4.72 69.70 30.00 304.98

Uday Jewellery

108.00 1.17 199.35 57.65 237.84


Ye hai kuch top market peers, Kalyan Jewellers ke liye. In sab ke prices dekh kar aap samajh sakte hain ki is market segment me alag alag market cap waale players hai. Kalyan Jewellers 1175 crore ke aas paas ka paisa raise karne ka plan kar rahi hai jo usko in saare players ke beech me ek competitive positioning me laa raha hai. Offer Price hai 86/87 rs per share, ye bhi is market segment ke liye ek competitive price hai aur listing ke time par isme gain milne ke chances hain. Issue ka purpose bola gaya hai capital expenditure meet karna aur other corporate expenses meet karna, yaani company ko apne operations related paise ke liye IPO lana pada hai. Kya ye cash flow related issues ko signify karta hai. Financials ko dekhein to Fy 20202 me 142 Crore ka profit dikhaya tha inhone, lein usse pichle Financial year me 4 Crore ka loss hua tha. Matlab stability abhi bhi ek issue hai. kalyan jewellers ipo price  86-87 rupaye hain . kalyan jwellers ipo ko subscribe krne ki last date 18 march 2021 hai. lot size 172 shares ka hai.
 


To kya pandemic ke time par hue dhande me mandi ke wajah se hi company 1175 crore uthane ke liye IPO laa rahi hai? Agar aisa bhi hua to bhi wo koi bahut bada problem nahi hai, kyun ki IPO laane ke baad company ke financials public domain me aaegi, aur better operations hone ke chances bhi honge. Market peers ke prices ke hisaab se ye competitive pricing band me hain. Aur haal ke saare IPOs ko dekhte hue ye keh sakte hai ki Kalyan jewellers, unke superior distribution network and strategy ki wajah se, product innovation ke wajah se, ek accha pick ho sakta hain. 


Keywords:

kalyan jewellers ipo price
kalyan jewellers ipo expected date






एक टिप्पणी भेजें (0)
और नया पुराने