Petrol, Diesel Kyun nahi GST ke Andar?
50 rs ka petrol scooter me daalke market me jaake 400 rs ka maal khareed ke laane walon ke desh me ab 50 rs me petrol ka sirf aadha liter aata hai, yaani 40 kamilega dene waali scooter me aap sirf 20 km jaa sakte hain 50 rs me. To kahi bhi jaana ho, plan kar ke nikaliye, aadhe raste me scooter park karke, bus pakad lijiye. Aur agar aap ko gussa aa raha hai ye sochke ki bhai desh me pan biri ke saath chai bhi GST ke andar aa gaya, to petrol aur diesel ke saath aisa sautela bartaav kyun kiya jaa raha hai. Poora desh pooch raha hai ki 100rs petrol ko GST ke andar laao, 50 ke niche jayega price, mamla khatam. Kya itna asaan hai? Samajhne waali baat hai, video ko poora dekhiyega, aur dhyan se channel ko subscribe bhi kar lijiyega.
Angel Broking Shoutout
Agar aap ko ghar baithe paisa kamana hai aur Share Market me trading karna hai to aapke liye best option hai Angel Broking ka demat account. Yahan aapko pehla saal account maintenance charges free milega, minimum broking charges of flat 20 INR/ Deal, aur uske saath aapko milega specialzed Robo Order ki facility, jiske zariye aap Angel broking ka special Articificial Intelligence Driven predictive analytics system ka faida le sakte hain. ye aapke age, salary, aapka preferences ke hisaab se aapko bata dega ki kaunse stocks ya investment plan aapke liye bilkul sahi hoga. Iske alava, Angel Broking India ka no 1 full service broker hai, jiska matlab ye hai ki aap ko special advisories and portfolio managers jaise alag alag advantages milenge. To der na karie aur description me diye gaye link par click karke aaj hi Angel Broking me apna free demat account kholiye.
GST kya hai? VAT kya hai? Petrol pe kya laga hai aur kyun?
GST desh me lagane ke peeche reason ye tha - one Nation - One Tax. Sunne me bada lag raha hai, lekin sabse zyada aansu middle class yaani aapko mujhe hi hua hai GST se. Saare commodities pe alag alag slabs, jaise 12%, 18%, 28% ke hisaab se GST charge kiya jaata hai. Aur ye rates poore desh me ek hi hai.
Middle class ki specially kyun zyada jali hai GST se? Samajhiye, income tax bracket me aane waale sabse pehle group middle class salary waale log hain, business men hai jo chote aur medium turnover waale business chalate hain. Salaried logo ko TDS yaani Tax Dedcuted At source pay karna padhta hai. Uske baad bhi aap ke tax bracket ke anusaar aapko investment karna padta hai. Investment matlab Mutual Fund, SIP, FD, life Insurance. Isme kuch rebate milta hai. Lekin fir dukaan me milne waale samaan me kyun tax dena padta hai? Koi bhi transaction ho, uske liye sarkar ko ek hissa isliye diya jaata hai taaki jo log tax bracket se bahar hai, unke trasaction se bhi tax wasool kiya jaye. Yaani sab taraf se sarkar ne jaal aisa bichaya hai ki mehnat kariye aur dariya me daaliye.
GST ek aisa taxation regime hai jisme sarkar ne states ke autonomy ko kam kiya hai, kaise? GST me 41% sarkar States ko deti hai, States ko apna tax lene ka koi haq nahi hai. Autonomy ka matlab samajhiye Tax collect karna, bas itna hi. Ab sarkar ke paas jo paisa aata hai usme cess and other fees rehta hai, jiska ek mota mota hisaab kare to 2020 lockdown se pehle states ko central revenue ka 30% mil raha tha. Kya ye states ke kharche chalane ke liye kaafi hai? Agar nahi hai to fir kuch hi dino me India ka Parliamentary Democracy ko naye challenge face karna padega.
Ab waaps aate hain Petrol diesel prices par.
Clearly dekh sakte hain ki sabse bada factor yaha pe hai Central Tax jo sabse bada chuk hai petrol diesel price me. Agar 28%jo maximum GST rate hai, wo bhi laga diya jaye to fir petrol ka price 48rs/liter ke aas paas hoga, aur poore desh me yahi price hoga.
Isse sarkar ko kaha pareshani hai? Lockdown ke baad desh ka finance bigad chuka hai, kuch log kehte hai ki ye haal pichle 5 saalon me dheere dheere kiya gaya hai, lekin unko desh ki sarkar deshdrohi kehti hai. To hum unke baare me baat nahi karenge. Hum ye dekh sakte hain ki Indian fiscal deficit iincrease ho raha hai. Isko desh counter kaise karegi? Ideally desh ke manufacturing and other industrial activities se itna paisa generate hona chahiye ki aane waale 6 mahien economy changa ho sake. Lekin desh ke aadhe industry beemaru hai, yaani bandh hone ke kagaar par, aur aadhe companies ko one time payment ke saath bech diya gaya hai. To ab paisa kaha se aayega? Inflation badhta raha to ek time pe 1USD 100 rs cross kar jayega, fir 50 rs ka petrol ka jagah pe cycle leke nikal na padega, aur khud ke garden me alu pyaaz grow karke khana padega.
Lekin tab tak sarkar ki anokhi koshish hai desh ki public ko sharab aur tel - in dono items me lagne waali tax ke zariye uljha ke rakhe, kyun yahi do items hai jo desh me sabse zyada bikta hai, aur isliye ye sarkar ka cash cow hai. To isko sarkar nahi maregi,ya fir desh ke PM ke man ki baat kuch aur hai?
Kya lagega GST? Election 2024
Modi ji ne 17th Feb ko apne bhashan me ye kaha hai ki petrol ko GST ke andar laane ki koshish ki jaa rahi hai. To sarkar itna bada loss kyun uthayegi? Kya iske peeche koi aur chanakya neeti hai? Samajh ne ki koshish kijiye, state governments, jinke paas GST ke baad koi thikthak revenue source bacha hi nahi hai, unki halat aur kharab hogi jab petrol diesel GST ke andar aayega. Aur shayad isiliye prices ko itna upar liya jaa raha hai taaki GST ke baad usko kam kiya jaye, logo ko ye dikha diya jaye ke unhone prices kam kiya, aur 2024 election fir seedha khel hoga. Ek teer se do nishana kaise lagega, ye samajhiye, ek to election me jeet, upar se states ka system weaker hone ke chances hai, aur fir constitution me aisa amendment laaya jaa sakta hai ki india ke states ko US federal System me transform kar diyajaye. Waise bhi revenue generate nahi hoga to states ke paas kuch rahega nahi, aur opposition controlled states aur jaldi girenge. Yaani ye ek type ka pressure tactic hai, jiske zariye shayad centralization of power kiya jaa raha hai.
Sawaal ye hai ke kya isse kuch accha hoga? To jawab hai ke India pichle 70 saalon me jo kuch kar sakti thi, uska 10% bhi nahi achieve kiya hai, kyun ki uska poilitical class me integrity aur innovation ki kami thi. To aane waale 20 saal Indian democracy ke liye make or break hoga, make hua totheek,break hua to fir uparwaala hai na, garibon ka malik.