Angel Broking SmartAPI Kya Hai? Kyun Aapko ye mauka nahi khona chahiye?
Doston, India ke traders me sabse zyada hai himmat aur dedication, lekin kisi cheez ki kami hai to wo hai sahi technical guidance ki. Kyun ki yaha sab aapko account kholiye aur trade kijiye - aisa bolke trading ke samundar me laake chor dete hain. Baad me us samundar me aap doob gaye, ya bach gaye, ya bada sa island mil gaya aapko, ye aapke upar hai. Chahe koi kuch bhi kahe, hota yahi hai. Aaj ke post me mian bataunga ke kaise Smart API naam ka ek offerring, aapke liye, aapke business ke liye ek transformation laa skata hai. Aap puchenge ke kaise? Aaj ke video me wahi bataunga ke ye Smart API - Jo angel Broking ke taraf selaunch kiya gaya hai, wo hai kya, iske fayde kya hai, aur kaise iske saath judke aap aise solutions nikal sakte hain jo aapko aane wale 10 salon tak paisa kama ke de sakta hai.
Kya hai Angel Broking SmartAPI?
API ka full form hai Application Programming Interface. API ka seedha translation ye hai ki aap agar bahut bada building bana rahe hain, to aapko cement, ret, pathhar, steel, ye sab raw materials alag alag jagah se milta hai. Lekin aap khud building nahi banate, aap ek contractor ko hire karte hai, jisko paisa dene ke baad wo aapka pora building complete karta hai. Aapko koi bhi tension lena nahi hota, jo bhi complications ho, wo aap ka contractor sambhal leta hai. Usi tarah, aap agar as an influencer, ya trader apna website khol ne ki koshish karrahe hain, aur aapko latest trading data, results, ya fir naye naye applications banana hai, taaki log aapke website me ek cutting edge trading experience enjoy kar sake, to fir Angel Broking SmartAPI aapke liye perfect hai.
Kiske liye hai Angel Broking ki SmartAPI
Aap me se bahut saare dost humare aise hain jinke paas khud ka blogging website hain. Aur wo regular waha par trading calls dete hain, kuch log aise hai jo professional broking application banane ka plan kar rahe hain, kuch log aise hai jo Algorithmic trading ko implement karne ki koshish kar rahe hain. Aap sabke liye SmartAPI hai ek ideal solution. Kyun?
1.
Angel Broking SmartAPI me aap latest trading charts, historical data access kar sakte hain, aur apne website visitors ko free me provide kar sakte hain. Angle Broking ka 31 years ka experience ye guarantee deta hai ki un ka data 100% reliable and trustworthy hoga.
2. Angel Broking SmartAPI me aap apne financial applications ko design kar sakte hain, HTML, Node.js jaise programming languages me SmartAPI ka script available hoga. Usko use karke aap, apna khud ka financial application, apne khud ke website, ya blog pe implement kar sakte hain.
3. Angel Broking Algorithmic Trading India me kaafi popular ho raha hai. 38% Indian day traders algorithmic trading use karte hain. Ye kya hai? Algorithmic trading ka matlab hai ki aap trading uncertainties ko dhyan me rakh kar, ek aisa code banayenge, jo automatically market pointers ko dekh kar trading karega, ye human emotions, ya fir delay and rrors se free hoga, jisse aapka profit badhega. Algorithmic trading India me 68% traders aane waale dino me use karna chahte hai. Aur SmartAPI me aap apne code ke zariye bina tension Algo trading kar sakte hain.
4. Digital Currencies ke baare me sabne suna hoga, UPI bhi aaj kal bahut popular hai. India me jo DIgital Payments ka market $65 Billion ka tha 2019 me, wo 20% CAGR ke saath, 2023 tak, $140 Billion tak pahuchega. Agar aap is booming industry ka fayda uthana chahte hain, agar aap chahte hain ki aap bhi aise financial solutions banaye jo UPI payment system ka use kare, to SmartAPI aapko ek bana banaya platform de raha hai, jaha par aap asaani se in solutions ko design, program and activate kar sakte hain.
Angel Broking SmartAPI ke liye kya karna hoga?
Angel Broking SmartAPI ke liye aapko apply karna padega, wo aap aapke Angel Broking ke representative ke zariye kar sakte hain. Normally aapko apne website ya blog me trading data,ya real time stock prices, ya koi bhi application design karne ke liye SEBI se licensing ki zaroorat padti hai. Lekin is SmartAPI ke zariye, aapko sirf Angel Broking Smart API use karne ke liye application dena hoga, and uske baad aap wo saari activities kar payenge, jo as a licensed website ya business aap karna cha rahe the.
Kya kya Fayde hai Angel Broking SmartAPI ke?
Agar aap Zerodha kite connect use kar rahe hain, to aapko pata hoga ke aapko uska 2000rs/month pay karna padta hai. Yaani Angel Smart ke saath sabs bada difference hai ki SmartAPI Free hai. Ab dekh lete hain, aur kya kya features hai SmartAPI ke
1. No monthly subscription fee, no hidden cost. Users can register and access APIs for free. 2000rs per month subscription ka matlab hai 24k per annum. Itna paisa aap sirf subscription fees ke taur par de rahe hain. Agar aap isi paise ko Intraday trade me lagayenge to fir aap ko 5Xyaani 1.20lakh ka intraday trading capital milega. Yaani SmartAPI aapko paisa kamane ka option de raha hai.
2. Angel Broking Assistance: koi bhi sawaal ho, ya regulation ka matter ho, Angel broking ki team aapke saath hamesha rahegi. SmartAPI ka ek bahut strong forum hai jaha par users apne issues discuss karte hain, aur waha par solutions sabse pehle milenge aapko.
3. Quick and Easy - aapka FIntech App kuch hi ghanto me ready ho jayega SmartAPi ke saath, itna asaan hai iska integration.
4. Algo trading karne waalon ke liye khushkhabri ye hai ki Python, Java, node.js, HTML in sab languages me SmartAPI me code kiya jaa sakta hai, yaani better flexibility
5. Reliable Infrastructure: Short time me multiple trade execute kijiye, yaani high frequency trading.
6. Aapka end to end broking solution banaiye SmartAPI ke saath, aapke Blogging website, ya fir aapka trading calls wale website ko fully featured trading website me transform kijiye.
7. Sign up se lekar activation - sab kuch Digital and Online - hassle free process.
To ab bhi agar aapne Angel Broking SmartAPI ko apnaya nahi hai, to aaj hi apply kijiye aapke relationship manager ke through. Get the best of Digital Trading experience with Angel broking Smart API.